Yaha matlab yeh nikalta hai ki ghans funs khane wale k liye chapte dant aur mans khane wale k liye nukile dant hein. Mans aur insan ke danto ki khasiyat - Insan me chapte aur nukile canine dono tarha ke dant paye jate hein jabki baki jandaar jaise- khargosh, gaye, bhains, bakri wagera me chapte dant hote hai aur bhediya bagh, sher, cheeta wagera me nukile dant bhi hote hai. Ha is ka matlab yah nhi he ki mans kahna zaruri he. In ayato se pata chalta he ki Islam mans khane ki ijazat deta hai. Kyoki duniya ke lagbhag sabhi dharmo ke log mans gosht khate hai. Janwaro ko marna ya Jeev hatya ko Sirf musalmano se jodna sahi bat nahi. Lekin nafrat failane wale log sirf janwaro ke marne ko hi jeev hattya kahte hein aur ise musalmano se jodte hein.
Agr jeev hattya ki definition par gaur karein to pata chala ki sirf janwaro ko marna hi jeev hattya nhi he, pedh - podho ko katna bhi jeev hattya he. Sabhi jante hein Janwar yani sher, bakri, unt, hiran wagera ke sath sath pedh - podhe bhi jeev hein kyoki in me bhi jan hoti he. Kisi jeev ko marna hi jeev hattya kahlata he. Sawal - Kya Islam Janwaro ko marnne Jeev hattya ka huqm deta he? Kya Musalman ko mans khana zaruri he? Kya bina mans khaye koi insan sacha musalman nhi ho sakta? Jawab - Pahle jeev hattya kya he yeh jan lete hein - Jeev hattya - jis me jan ho use jeev jandar kahte hein.